hum yeha per kahaniya hindi me, Quotes hindi me, health ki jankari hindi me, jivani famous person ki hindi our bahut si jankari dene ki koshish karegye

Breaking

5/19/2021

inspirational stories / Murtikar

Inspirational stories / Murtikar








Ek shar me ek Murtikar rhta tha wha murti bnaya krta tha uski Murti bikti bhi achi thi esi se wha apne aur apne priwar ka gujara krta tha.


Kuch smy baad usko ek beta huaa bachpan se hi  wha apne pitaji ko Murti banate dekhta aur dhire dhire wha  bhi Murti bnane me dilchshpi lene lgaa jab bhi wha murti bnata apne pitaji se
puchhta Murti kaisi bni hai pitaji har baar uski murti me  koe n koe glti nikalte aur wha khte es murti me yeh kmi hai agli baar es kmi ko dur karna .


Wha  pitaji se bina kuch kahe chup chap us glti ko sudharkar aur bhi achchhi murti banaa detaa. Es lagaataar achchha karne ki kosis me wha  bahut hi achchhi murti banane lagaa.


Es prakar din bitte gaye wha  bachcha bara ho gaya ab uski murti uske pita ki Murti se bhi adhik damoo me bikne lgi aur uski  murti ki charcha har trph hone lgi log dur dur se uski murti ko khridne ke liye log aane lge.


Lrke ki Murti ki tariff charoo trph hone lgi aur use adhik paise bhi milne lage ek din uske pita ne phir se apne bete ki Murti me nusk nikal diya.


Es baar uske bete ko bilkul bhi achchha nahi lagaa aur usne apne pitaa ko bol diyaa ki pitaji aap mere bnaye murti me hmeshaa nusk nikal dete hai aap agr etnaa murti ke vishye me jante hai toh aapki bnaye murtioo ke daam kam kyo milte hai.


Pitaa ko ye baat sunkar bahut dukh huaa aur usne bete ko toknaa chhor diyaa.  


Dhire Dhire smye bitte gayaa uske bete ki murti ab bikni kam ho gae aur log ab uski murti ki tariff bhi krnaa ab band kar diyaa . Tab wha  apne pita ke pas gaya aur sari baat btae tab uske pita ne smjhaya.


Pita thori der sant rahe phir chehre per mithi si muskan ke sath bole jab mai tumhe tokta tab tum mere baat per dhayan dekar tum us murti ko aur behtar bnane ki kosis karte jis din tum ye maan liye ki ab murti me aur behtar bnane ki koi gunjaes nahi hai tab se tumahri murti me wha  baat nahi rahi.


Islie kabhi bhi kosis karna aur behtar banana nahi chhorna chhiye. Jab hamare ander aur behtar banaane ki eksha khatm to jati hai tab sab whi per ruk jata hai.
Islye hme apne kam me aur behtar karne ki lagan ko bdhate rhnaa chahiye. Jo aage jakar hmare kamyabi ka karan hogaa.


Aur ek khas baat jab mai chota tha tab mere pitaji bhi mere murti ki khamiyaa batate the lekin maine unki baat ko dhayan nahi diyaa jis karan aaj mere duara bnaye murti ki utni prasansa nahi hoti aur bahut hi kam damoo me bikti bhi hai.


life quotes click here

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें