APPNI KIMAT
Ek baar ek teacher apni class me padha rahe the. Teacher ne bachachho ko kuch naya shikhane ke liye apni jeb me se 100 rupye ke note nikale aur bachchho se pucha ''kya aap bata shakte hai ki yeh kitne rupye ka note hai''?
Sabhi bachchho ne kaha yeh 100 rupye ka note hai.
Teacher ne phir puchha yeh 100 rupye ka note" kaun lenaa chhahegaa"
Sabhi bachcho ne hath uper kar diyaa.
Phir teacher ne us rupye ko dono hatho se jor se masal diyaa aur phir bachcho se puchha ab yeh 100 rupye ka note "koin lenaa chahegaa"?
Es baar bhi sabhi bachcho ne ek sath hath uper kar diyaa.
Ab teacher ne 100 rupye ke note ko apne pairoo se jor se masal kar bachcho se pucha ki ab bataoo "koin legaa ise"?
Es bar bhi sabhi bachcho ne ek sath hath uper kar diyaa.
Ab teacher ne 100 rupye ke note ko bich se do tukara kar diyaa aur bachcho se puchha ab es note ko "kaun lenaa chahegaa"?
Es bar kisi bachche ne hath nahi uthaya Kyoki note ke do tukre hone ke baad uski koe kimat nahi rahati.
Ab teacher ne sabhi bachcho ko samjhaya ki jis tarah note ko ganda karne aur masalne ke baad bhi uski kimat nahi ghati thik usi prakar Insan ki jo kimat hai aur uski jo kabiliyt hai wh hmeshaa whi rahati hai.
Agar aapke jivan me kitni bhi mushkile aaye aur kathinaeyaa aaye aapko apni kimat nahi gawani hai. Aap ko hamesha behtar honaa hao hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें